Read this on one of the mail list...must laud the Shayar :)
Ab aae ho to phir vohi takraar na karnaa
Phir "zikr-e-siyasat" ka gunah gaar na karnaa
"Cigarette" na nikaalo ke fizaaoN maiN hai khushboo
Barbaad mere phooloN ki mehkaar na karnaa
Naraz na hona meri darkhavast pe hargiz
"Coffee" ke liye aaj to israar na karna
Aao zara saRkoN pe tehl laiN mere saathi
Sardi to hai be shak ,magar,inkaar na karnaa
Yeh raag yeh sangeet mujhe dete haiN lori
Gar sone lagooN to mujhe baidaar na karnaa
khud hi mujhe ehsaas hai apni ghalati kaa
tum apni shikaayat se sharamsaar na karnaa
Daikho mujhe dar lagta hai gussey se tumhare
Tum mujh se khafa ho bhi to izhaar na karnaa
Jate ho to phir "car " ko aahista chalaanaa
Phir tez Khuda ke liye, raftaar na karnaa