Wednesday, January 25, 2006

Ret - Sand

Time seeps through ur hand like sand, and life just moves on...read this beautiful verse

Sadak ko choom ke nikla
Toh tha, registaan ret ka

Rehta raha jeeta raha jisme
Woh tha, Makaan ret ka

Chalee jo tez hawaen, dar gaya
Insaan ret ka

Dafna do mujhe zameen mein, kee aa gira mujh par
Aasmaan ret ka

Mere qareeb thee woh qareeb se utha
Ek Tufaan ret ka

Na jao ke phir awaaz dunga tumhe
Hai mera Eemaan ret ka

Friday, January 06, 2006

Happy New Year

My romance with Faiz continues!


Ae Naye Saal Bata, Tujh Mein Naya Pan Kya
Hai Har Taraf Khalq Ney Kyoun Shoor Macha Rakha Hai

Rooshni Dinn Ki Wohi, Taroun Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi

Aasmaan Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai
Zameen Ek Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat Tou Nahien

Agley Barsoun Ki Tarha Hoon Gey Kareenay Tere
Kissey Maloom Nahien Barah Maheeney Tere

January, Faburary Aur March Mein ParDey Sardi
Aur April, May, June Mein Ho Gi Garmi

Tera Mann Dahar Mein Kuch Khoye Gaa Kuch Paaye Gaa
Apni Meyaad Basar Kar Kay Challa Jaaye Gaa

Tu Naya Hai Tou Dikkha Subha Nayi Shaam Nayi
Warna Inn Aankhoun Ney Dekhay Hein Naye Saal Kayi

Bey-Sabab Deytay Hein Kyoun Loog Mubaraqbadein
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki KarDvi Yaadein

Teri Aamad Se Ghatti Ummar, Jahaan Sab Ki
Faiz Ney Likkhi Hai Yeh Nazm Niraley Dhab Ki