Friday, January 06, 2006

Happy New Year

My romance with Faiz continues!


Ae Naye Saal Bata, Tujh Mein Naya Pan Kya
Hai Har Taraf Khalq Ney Kyoun Shoor Macha Rakha Hai

Rooshni Dinn Ki Wohi, Taroun Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi

Aasmaan Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai
Zameen Ek Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat Tou Nahien

Agley Barsoun Ki Tarha Hoon Gey Kareenay Tere
Kissey Maloom Nahien Barah Maheeney Tere

January, Faburary Aur March Mein ParDey Sardi
Aur April, May, June Mein Ho Gi Garmi

Tera Mann Dahar Mein Kuch Khoye Gaa Kuch Paaye Gaa
Apni Meyaad Basar Kar Kay Challa Jaaye Gaa

Tu Naya Hai Tou Dikkha Subha Nayi Shaam Nayi
Warna Inn Aankhoun Ney Dekhay Hein Naye Saal Kayi

Bey-Sabab Deytay Hein Kyoun Loog Mubaraqbadein
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki KarDvi Yaadein

Teri Aamad Se Ghatti Ummar, Jahaan Sab Ki
Faiz Ney Likkhi Hai Yeh Nazm Niraley Dhab Ki

5 comments:

Anonymous said...

Hey there... how are you doing lady :)

M Taher said...

isi liye chacha Ghalib ne kahaa hai:
Ishq par zor nahin hai ye woh aatish 'Ghalib'
Jo lagaaye na lage aur bujhaaye na bane.
Ayesha, your transliteration of Faiz is great, compare another:
Aey naye saal bata tujh mein nayapan kia hai?
Her taraf khulq ne kioun shore macha rakha hai?
Roshni din ki wohi, taron bhari raat wohi
Aaj hum ko nazar aati hai har ek baat wohi
Aasmaan badla hai afsos na badli hai zameen
Ek hindsay ka badalna koi jiddat to nahi
Aglay barson ki tarah hon gay qareenay teray
Kisay maaloom nahi bara maheenay teray
January farvary or march mein paray sardee
Or april mayee june mein hogi garmee
Tera mann dehr mein kuch khoye ga kuch paye ga
Apni meeyaad basar ker ke chala jaye ga
Tu naya hai to dikha subh nayi shaam nayi
Werna in aankhon ne dekhay hain naye saal kayi
Be-sabab detay hain kioun log mubarak badein?
Ghaliban bhool gaye waqt ki karrwi yaadein
Teri aamad se ghatee umr jahan se sab ki
Faiz ne likhi hai ye nazm niralay dhab ki
[source: posted by Jiya @ www.shairy.com]
On another blog, I found the next post, is the following text (Jigar Moradabadi's)and an interesting bottom line:
ishq fanaa kaa naam hai ishq mein zindagii na dekh
jalvaaa-e-aaftaab ban zarre mein RAUSHNEE na dekh
________________
Artificial Intelligence is no match for Natural Stupidity
[source: www.stanvir.com]

bablu said...

Aadab arzey... Bahut khoob... Faiz saab ka jawab nahi...

bablu said...

Bahut acche...

Anonymous said...

I was intrigued to see a reference to my site www.stanvir.com in one of the comments posted by Dr. Mohamed Taher.

Come take a look, a lot has since changed.