Tuesday, August 08, 2006

back to what i like doing best

zaKhm jo aap kii inaayat hai is nishaanii ko kyaa naam de ham
pyaar diivaar ban ke rah gayaa hai is kahaanii ko kyaa naam de ham

aap ilzaam dhar gaye ham par ek ehasaan kar gaye ham par
aap kii ye meharabaanii hai meharabaanii ko kyaa naam de ham

aap ko yuu.N hii zindagii samajhaa dhuup ko hamane chaa.Ndanii samajhaa
bhuul hii bhuul jis kii aadat hai ik javaanii ko naam kyaa de ham

raat sapanaa bahaar kaa dekhaa din huaa to Gubaar saa dekhaa
bevafaa vaqt bezubaa.N nikalaa bezubaanii ko naam kyaa de ham

Thursday, July 20, 2006

Silence prevails

This is the longest hiatus i have had from my blog. It was far from sight but never out of my mind.

Friday, March 03, 2006

Bell Chacha - Happy Birthday

Today happens to be Alexander Graham Bell's Happy Birthday.

They say when Alexander Graham Bell invented the telephone in 1876, it did not ring off the hook with calls from potential backers. After making a demonstration call, President Rutherford Hayes said, "That's an amazing Invention, but who would ever want to use one of them?"

Well, i am sure he is jumping in his grave at the present state of telecommunication technology.

Hail Bell Chacha!!!!

Here is one dedicated for u :)

gul teraa rang churaa laaye hain gul_zaaron men
jal rahaa huuN bharii barasaat kii bauchhaaron men

mujh se kataraa ke nikal jaa magar ai jaan-e-hayaa
dil kii lau dekh rahaa huuN tere ruKhasaaron men

husn-e-begaanaa-e-ehasaas-e-jamaal achchhaa hai
Gunche khilte hain to bik jaate hain baazaaron men

zikr karate hain teraa mujh se baa_unavaan-e-jafaa
chaaraagar phuul piro laaye hain talvaaron men

zaKhm chhup sakate hain lekin mujhe fan kii saugaundh
Gam kii daulat bhii hai shaamil mere shaahakaaron men

mujh ko nafarat se nahiin pyaar se masluub karo
main to shaamil huuN mohabbat ke gunaah_gaaron men

Wednesday, March 01, 2006

My romance with poetry continues

Itnaa to hua aye dil, ek shaksh kay jaanay say
Bichday huye miltay hain kuch dost puranay say

Ab mera safar tanhaa, ab uskee judaa manzil
poocho naa pataa uskaa, tum meray tthikaanay say

ruswaaii to wiasay bhee, taqdeer hai aashiq kee
zillat bhee milee hum ko, ulfat kay fasaanay say

raoshan huye veeranay, khush hoogayee dunyaa bhee
kuch hum bhee sukoon say hain, ghar apnaa jalaanay say

Wednesday, January 25, 2006

Ret - Sand

Time seeps through ur hand like sand, and life just moves on...read this beautiful verse

Sadak ko choom ke nikla
Toh tha, registaan ret ka

Rehta raha jeeta raha jisme
Woh tha, Makaan ret ka

Chalee jo tez hawaen, dar gaya
Insaan ret ka

Dafna do mujhe zameen mein, kee aa gira mujh par
Aasmaan ret ka

Mere qareeb thee woh qareeb se utha
Ek Tufaan ret ka

Na jao ke phir awaaz dunga tumhe
Hai mera Eemaan ret ka

Friday, January 06, 2006

Happy New Year

My romance with Faiz continues!


Ae Naye Saal Bata, Tujh Mein Naya Pan Kya
Hai Har Taraf Khalq Ney Kyoun Shoor Macha Rakha Hai

Rooshni Dinn Ki Wohi, Taroun Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi

Aasmaan Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai
Zameen Ek Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat Tou Nahien

Agley Barsoun Ki Tarha Hoon Gey Kareenay Tere
Kissey Maloom Nahien Barah Maheeney Tere

January, Faburary Aur March Mein ParDey Sardi
Aur April, May, June Mein Ho Gi Garmi

Tera Mann Dahar Mein Kuch Khoye Gaa Kuch Paaye Gaa
Apni Meyaad Basar Kar Kay Challa Jaaye Gaa

Tu Naya Hai Tou Dikkha Subha Nayi Shaam Nayi
Warna Inn Aankhoun Ney Dekhay Hein Naye Saal Kayi

Bey-Sabab Deytay Hein Kyoun Loog Mubaraqbadein
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki KarDvi Yaadein

Teri Aamad Se Ghatti Ummar, Jahaan Sab Ki
Faiz Ney Likkhi Hai Yeh Nazm Niraley Dhab Ki